Jo guzar gaya woh lamha tha
Jo guzar gaya woh lamha tha
Woh lamha ab fana hua
Jo bach gaya so haal hai
Naam mustaqbil ka kal hua
Us kal ka aaj kisey pata
Na aya jo na hum ne dekha
Jo zulmaton men lipta ho
Siyah jis ki ho qaba
Maazi na mustaqbil koi
Jalwa na mehfil koi
Jeena is lamhe men hai
Girdaab ho ya sahil koi
Ret aur khaak ki dher hai dunya
Atish fishaan, her pher hai dunya
Gardishon ka khel hai sab
Bas shaam o shab aur saver hai dunya
Deekhlaati hai sab ko khwaab yeh dunya
Haqeeqat nahin saraab yeh dunya
Gumraah kare yeh sab ko ‘sahil’
Phir maangti hai hisaab yeh dunya
Ashok sawhny sahil