Story/Poetry

Har insan ki khushi, ranj o gham, us ke daroon hai

Har insan ki khushi, ranj o gham, us ke daroon hai
Faani dunya, faani log, yeh sab beroon hai

Zinda dilli pe bahas kaisi batao yaro, jab
Zinda wohi jiski ragon men daurta khoon hai

Jeena marna subh shaam yeh to bas haqeeqat hai
Zindagi ka asli naam to sirf shauq o junoon hai

Badi baaten badi cheezen mubarak hon sab ko
Daana , jo har saans ke liye Rab ka mamnoon hai

‘Sahil’, shayr goi na kar bas nazaaron ko dekh tu
Zabt e sukhan men hi sab se aala sukoon hai

Daroon Within inside
Beroon. Outside
Daana. Wise
Mamnoon. Grateful
Zabt e sukhan. Restraint on speech
Sukoon chain aaraam

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *