Kyon ghut ta hai dum kya yeh rauzan e zindaan hai

Kyon ghut ta hai dum kya yeh rauzan e zindaan hai
Nazar aata hai jo mujhe kya wohi aasmaan hai

Momin hun main pukhtah naam rab ka hai labon per
Phir, kyon har ghari shab o roz ka imtehaan hai

Be zaar nahin be kas nahin fasurdagi yeh kaisi
Pucchte ho darya se kya, kyon musalsal ravaan hai

Khutbe tere suney vaaiz baaten sohbaton ki
Tu hi bata shireen kis ki, kis ki talkh zubaan hai

Bhaley shauq ho parwaaz ka parinde hum nahin
Milti hai khabar unhen kya dost unka tufaan hai

Khutah nahin ghaafil nahin haazir o naazir hai rab
Naadim shayad dekh kar kya yeh mera hi insan hai

Kehta hun main khud ko ‘sahil’ momin to zurur
Phir dil men kyon gumaan mere, yeh kaisa imaan hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *