Dasht e tanhayi ko Gulzaar banaiye
Dasht e tanhayi ko Gulzaar banaiye
Dasht e tanhayi ki baaten sunte hain
Yeh bhi sunte hain log lamhaat ginte hain
Majaazi is jahan se dur tang aa kar
Sarabon ki chaadar bunte hain
Haif! yeh bhi sunte hain yaro, log
Hauley hauley ghutan men marte hain
Magar, aisa kyon hai ‘sahil’ bata
Hum to khud ko akela nahin paate hain
Humsafar hain hum apne, yaar apne
Phir, apne saath hi chalte jaate hain
Is daur e zindagi ka kya bharosa
Kitne nafas aaj aur kitne kal aate hain
Khuda karim ke kaun jaaney hamare liye
Kya hukm aur kya uske iraade hain
Hamen to sukoon milta hai kaamil
Jab hum khud hi se haath milaate hai
Bistar men apne lete huay
Naghme khud hi ko sunaate hain
Din ke thakey haarey hum
Apne khwabon men phir kho jaate hai
Dasht e tanhayi ko dosto, hum
Taskeen ka chaman banaate hain
Apni marzi ke wahan
La’al o gauhar o saman lagaate hain
Guzarte waqt ke saath hum bhi, ‘sahil’
Aahista, aahista, guzarte jaate hain
Dasht e tanhayi ko gulzaar banaiye, dosto
Yahan se jaaiye jab to hanste hanste jaaiye