Munsif, tere yaan mujrim mehmaan kyon
Kyon
Munsif, tere yaan mujrim mehmaan kyon
Hum kya jaane kis ke chaak daamaan kyon
Sawalon se kab mila koi sukoon kisi ko
Nafa nahin to pursish, itna nuqsaan kyon
Dosto, barq e tajalli o qahar e abr dekho
Batao aaj itna naaraaz hai aasmaan kyon
Bol kaafir, mere sawaal ka jawaab to de
Tere dil men nahin hai la makaan kyon
Ya Rab yeh talawwun o shash o panj kyon
Ta umr har nafas ka yeh imtehaan kyon
Na woh jaane na hum jaanen anjaam
Ek aur saans ke liye itna gumaan kyon
Sawaalon ka mahaul jawabon ka mazaa
Ab koi yeh bata de har su ghamsaan kyon
Jo beet gaya so guzar gaya, ‘sahil’
Tu bata ab yeh taabeer e gurezaan kyon
Ashok sawhny Sahil