Yeh kaisa hai zamaan, jahan zameer door rehta hai insan se

Yeh kaisa hai zamaan, jahan zameer door rehta hai insan se
Aur insan juda, apni insaniyat aur apne us paak iman se

Badgumani ka daur hai, har ek ko har ek baat per shak hai
Chain o aaraam to kabhi haasil nahin hota kisi gumaan se

Muqaddar ko maanane walo yeh bhi to yaad rakh lo kabhi
Qaza se khauf kaisa kyon darte ho us muqarrar anjam se

Jisey dekho woh masruf hai bahot, khud gharazi aaj awwal
Munh pherne walo marasim to badhta hai dua salaam se

‘Sahil’ tu dil ki sun le dhadkan haqeeqat hai, sach hai yaqinan
Taskeen o aaram to pukhta na mila kisiko saqi o vaaiz o imam se

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *