‘Sahil’, jin se koi ta’aluq nahin un ki phir parwa kaisi

‘Sahil’, jin se koi ta’aluq nahin un ki phir parwa kaisi
Koi to samjhaye mujhe bad zaat yeh ana kaisi

Jazbaat nahin banaaye main ne un per mera qaabu kaisa
Sang dil nahin hun main phir mujhe yeh saza kaisi

Kyon samajhti hai yeh duniya pathar dil jaane mujhe
Marham kya aur kya madawa, majazi is ki dawa kaisi

Baad e mukhalif jaari hai tu hi bata ai vaaz mujhe
Kab tak ladta rahunga main, umeed e dil men jaza kaisi

Dua ka sahara le tu ibn e Mariam ko yaad kar
Qismat ko mana le bande puchh tujh se khafa kaisi

Naraaz hoti hai jab qismat dars us men shaamil hai
Tu hi samjha ‘sahil’ mujhe muqaddar ki yeh ada kaisi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *