Jab chaak hua tha daaman mera chaman ke khaaron se

Jab chaak hua tha daaman mera chaman ke khaaron se
Main ruswa phir kyon hua zamane ki zubaanon se

Zururi hai raaz samajhne fana ke bhi to yaro
Dil nahin jalaye jaate kabhi sulagte angaaron se

Hayaat to saughaat hai tu hi bata, vaaiz, hamen
Kya tu tang aata nahin kabhi roz ke imtehanon se

Kyon lagta hai be waasta jahan ko dekh kar khuda
Rakhen phir umeed hum kya us ke hi insaanon se

Navaazi hai hayaat insan ko, maula hi jaane kyon
Kya chahta hai ab woh khaatma hamare hi haathon se

Zulmaton se kya darna khel mehr o maah ka hai
Dar lagey to bas ‘sahil’, dil o man ke andheron se

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *