Na waqt ruka na hi darya ravaan koi

Na waqt ruka na hi darya ravaan koi
Deewaar na rok saki udta dhuaan koi

Har shai nahin hoti kisi ke bas men hamesh
Aisa paida na hua jahan men insan koi

Dosti men to sirf dosti hi honi chahiye
Unsiyat men to mehmaan na mezbaan koi

Kya hua hai khudaya tere jahan ko aaj
Qadrdaan na hai kahin na mehrbaan koi

‘Sahil’, aaj dhundta hun main koel ki kook
Ke sunayi nahin deti shirin zubaan koi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *