Gar kaamyaab o kaamraan ho, jaano mansoor ho
Gar kaamyaab o kaamraan ho, jaano mansoor ho
Phir dunya ki bad gumaniyon se, tum door ho
Junoon ka hona to koi jurm nahin, naaseh
Dervesh ho ya maikhwaar bas nek fitoor ho
Yaro zakhm mundamil to ho jaata hai, lekin
Jaan jaati hai rafta rafta gar woh nasoor ho
Dil men sukoon to noor e khuda ho raushan
Inkisaari men lipta hua insan bin ghuroor ho
Gar fikr na khaaif na justaju manzil ki ho
Zindagi ka mazaa phir hamesha bharpoor ho
‘Sahil’, nashe ka vaasta sirf mai se to nahin
Jo lagan me sar shaar ho, woh bhi makhmoor ho
Ashok sawhny Sahil