Pehla pyaar pehli mahabat bhulayi nahin jaati

Pehla pyaar pehli mahabat bhulayi nahin jaati
Daagh daaman se mit bhi jaaye ruswayi nahin jaati

Hoti hai gehri ruhaniyat us pehli ulfat ki
Daagh na koi zakhm nasoor baat samjhayi nahin jaati

Shaikh kar le koshish chaahe jitni kaamyabi na hogi
Likhi hai qismat ne jo woh lakeer mitayi nahin jaati

Kohra na dhund na parda e maazi rokey kabhi na kuch
Haqeeqat to haqeeqat hai, chhupayi nahin jaati

Aaj badla hai zamana ‘sahil’, afsos yeh kis tarah
Ghareeb o faryaadi ki to koi sunwayi nahin hoti
Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *