Main hi shaitaan mujh hi men qalandar hai

Main hi shaitaan mujh hi men qalandar hai
Tufaan main, mujhi men sukoot e sumundur hai

Har lamhe men zeest hai usi men gardishen sab
Naaseh kya isi liye dil mera be chain o muztar hai

Main hi momin mujh men kaafir, shak is men to hai nahin
Mujh men kalisa, mujhi men haram mujhi men mandir hai

Vaaiz, ja e rihaish khuda ki to dekhi na hai tu ne kabhi
Phir, kis ne kaha tujh se ke lakiron men muqaddar hai

Insan ek hai per yeh na samajhna baais e hangama hai
Jab usi ek aftaab se kahin shab aur kahin sehar hai

Yaro, kaun bada chhota kaun shaikh aur kaun fakeer
Jab ek anjaana jahan ka paasbaan o chowkidaar hai

Dosto, kabhi shams o qamar o taaron se pucch kar dekho
Shayad woh bhi kahen tum se khuda hamare andar hai

Raaston ki kotahi nahin dunya bahot bari hai
Lekin, manzil sabki ek hai aur Rab ki woh rahguzar hai

Manzil marhala hoti hai thikaana to sab ka ek hi hai
Jo Rab ko dekhe baatin men aala woh nazar hai

Ghalat na hoga kehna ‘sahil’ tu to bas ek patta hai
Barg o baar ki is duniya men khuda hi waahid shajar hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *