Baadal nahin to baarish kaisi

Baadal nahin to baarish kaisi
Gham nahin to sozish kaisi

Dhadakte dilki naalish kaisi
Usi ki phir farmaish kaisi

Dil na roye to aansoo kaise
Nadamat nahin to laghzish kaisi

Pyaara, munfarid woh sab ka hai
Usi per phir hai bandish kaisi

Rab ka naam hai lab per sab ke
Phir, usi ke khilaaf hai saazish kaisi

Khuda kis ka kaun hai, batao
Ai jaahil bande yeh pursish kaisi

Rah e khuda to hai dastaras sab ke
Vaaiz, is men kisi ki naazish kaisi

Sard dil ki phir hai tapish kaisi
Kaafir, tu hi bata teri parastish kaisi

Khamosh ho qismat phir kis se puchhen
Ai nasheb  o faraaz teri gardish kaisi

‘Sahil’, khushi dil ki tu dil men rakh
Baatin ki numaaish kaisi

Sozish. Jalan
Naalish. Lamenting
Laghzish. Trembling
Munafarid. Unique
Pursish. Puchh taachh
Dastaras. Within reach
Naazish. Pride
Tapish. Garmi
Paristish. Puja
Nasheb o faraaz. Vicissitudes
Gardish. Revolutions

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *