Zururat hai bahot aaj unsiyat ko barhaane ki

Zururat hai bahot aaj unsiyat ko barhaane ki
Hindu Muslim Sikh Isayi sab ko haath milaane ki

Maalik to woh ek hi hai le kar naam jo chaaho bulao
Mazhab ke in fitnon ko zururat hai mitaane ki

Dosto, parcham lehrao insaniyat ka, daraaren kis liye
Pukhtah honge rishte saare zururat qadam milaane ki

Nek banaye insaan saare Rab ne phir kya hua
Jazba yeh kahan se aaya, sayi sab ko giraane ki

Kya fitrat insan ki kosna hai chal Vaaiz tu hi bata
Kya behtar nahin ke himmat ho qismat ko haraane ki

Waqt e ikhtetaam hai dil men muztar hain armaan
Kya karun kahan jaaun khwahish hai unhen bujhaane ki

‘Sahil’, muntazir ab kaun hai dehleez pe teri tu bata
Zindagi to ja rahi hai ab chaah kisey hai andar aane ki

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *