Kabhi sannate se bhi guftagu kar ke dekho
Kabhi sannate se bhi guftagu kar ke dekho
Tum be chaini ko apni phir mit te dekho
Murjhaati khudi ko tanhayion men dekho
Phir, chaman men khud ko kabhi khilte dekho
Bahaar hi bahaar to nahin hoti hai baaghbaan
Kabhi kaliyon ko bhi tum sanwarte dekho
Num chashm to karti hai gham e dil ka izhaar
Per, soz e gham hai kitna kabhi dil ko rotey dekho
Shaadmaani kya hai kabhi subh se puchho
Zulmaton se ‘sahil’ tum chehre nikaltey dekho
Ashok sawhny ‘Sahil’