Lagta to insan khud men magan hai
Lagta to insan khud men magan hai
Jabeen per sabke phir kyon yeh shikan hai
Justaju sabko, talaash hai khushi ki
Shaadmaani phir kyon aur kahan dafan hai
Dhang se na soche ab baaton per koi
Zameer kyon ghaayab, mareezaana zehan hai
Badla hai yaro jahan yeh bahot
Zamin jab wohi aur wohi gagan hai
Udaas hain chaman baharon baghair
Na khilte gulaab na koi saman hai
Ajnabi hain sab, anjaanapan ajab
Humqadam bhi aaj be sukhan hai
Dosto, rota hai dil kuchh to kijiye
Bahot be hiss o be dard yeh zaman hai
Har baat se hon sahmat zururi to nahin
‘Sahil’, per baaton men teri kuch vazn hai