Shaam shaam ho aur raat raat ho

Shaam shaam ho aur raat raat ho
Dua karo nek logon se mulaqaat ho

Bakhshi hai sab ko khuda ne hayat
Chaah kaisi ke mazeed saughaat ho

Zulmat e shab ka to sukoon alag hai
Na ho to phir kyon chaandni raat ho

Khushi dil o aangan ki baat hai, bas
Zururi to nahin sab pe kaaenaat ho

Kaam isharon se bhi chalta hai yaro
Kyon sab pe har waqt qalam o dawaat ho

Khuda ne to na chaaha hoga aisa kabhi
Ke insan itna haiwaan, aisa wahiyaat ho

‘Sahil’, kh-moshi se kyon ghabraate hain log
Aisa hukm to nahin ke har waqt koi baat ho

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *