Ashkon se kab dhuley daagh kisi daaman ke kabhi
Ashkon se kab dhuley daagh kisi daaman ke kabhi
Shabnam se kab phool khiley kisi chaman ke kabhi
Barq e tajaali se farozaan hota to hai jahaan, per
Andhera dil ka nahin mit ta raushan aangan se kabhi
Gulzaar to sab gulzaar hain bulbul ke woh aashiyan
Karta nahin hai baaghbaan intekhab chaman ke kabhi
Jism pe lagte nahin daagh dil ke kisi ko kabhi
Dil ke khaanon men hain nihaan, nishan us ki jalan ke
Har shai men karna intekhaab zururi to nahin hota
Ginta kaun hai rang koi gulab o saman ke kabhi
Gehra hai rishta neendon ka khwabon se bahot qareeb
Bharte nahin hain zakhm sab be dard insan ke kabhi
Iman hai ibadat hai laazim bhi hai hijaab kahin
Firasat hai taameel karna us hukm e na didan ke
Khaaron ko nigahbaan kehna ghalat nahin hai ‘sahil’
Per gulon se bhi to puchh le, tu tajrube chubhan ke
Ashok sawhny Sahil