Naam tera to na likha tha meri zanjeer per

 

Naam tera to na likha tha meri zanjeer per
Aur hukm mera bhi na chala meri taqdeer per

Baat qismat ki thi kaha mujh se kisi ne
Main tabsira kya karta us ki taabeer per

Ahad guzre hain jin ki daastaan sunte sunte
Kya kahen hum yaro raanjha aur heer per

Banaate ho mohkam jisey dost tum apna
Phir kabhi gumaan na karna us sameer per

Anjaan hai nasheb o faraaz e hayaat
‘Sahil’, tum mazaq na udana kisi faqeer per

 

 

 

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *