Dosto, woh maazi ka bhi kya zamaana tha

Dosto, woh maazi ka bhi kya zamaana tha
Jahan saara apna aashiyaana tha
Wohi mehfil wohi tanhayi
Na kahin aana na kahin jaana tha

Zindaan nahin, qaid khaana nahin
Kisi ka woh nishana nahin,
Ghar tha woh kul unsiyat ka
Zabardasti kuch nibahana nahin

Mahabat to bas wahan khilkhilaati thi
Chidiya wahan ki chachahati thi
Muskanon ke siwa kuch tha nahin
Aansuon men khushi lehraati thi

Lahore tha naam us shahar ka
Raavi, paas ki nehar ka
Kaafi tha aab woh jeene ke liye
Naam suna na tha kisi behr ka

Jhagre na fitne na museebat koi
Pyaar tha asl na siyasat koi
Bazaar nahin duniya thi woh
Hangaame nahin na ghaarat koi

‘Sahil’, baazeecha e atfaal tha woh
Zamana khub kamaal tha woh,
Ghar apna tha per auron ka bhi
Ahl e khaana, khush haal tha woh

Kyon bachpaney se aaj ghaafil hain bache
Din sab se wohi bila shak hain acche
Yaro, meri na maano dil apne se puchho
Kachey hi sahi per woh aam they bahot achhe

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *