Ek sadi bhi lag sakti hai umr bitaane men

Ek sadi bhi lag sakti hai umr bitaane men
Aur phir chund lamhe daastaan sunane men

Na aa sake tum na sahi per yeh to bata do
Waqt laga tha tumhen kitna bahane banane men

Zamaane guzre hain mere khaak udaane men
Isi khaak ko phir khaak se mujhe milaane men

Ya Rab, dekh khuftah hai kab se yeh insan tera
Waqt lagega aur tujhe kitna zameer ko jagaane men

Wafayi se aur zaalim kaho kaunsi hai shai
Jab lagti hai zeest saari isey nibhaane men

‘Sahil’, tu karta hai baaten saadagi o khulq ki
Bata, jeeta hai tu aaj kaun se zamaane men

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *