Peeri men aansu bhi aaraaam se behte hain

 

 

 

 

 

Peeri men aansu bhi aaraaam se behte hain
Boodhey ho jaayen to baaten bhi aisi hi karte hain

Hasraton ka dher, tamanaaon ka woh janjaal
Boodhey ho jaayen to armaan nahin sulagte hain

Zindagi khel hi to hai, isey bisaat hi samjhiye
Jawaan na sahi dil to phir bhi dhadakte hain

Aasaan nahin koshishen ho jaati hain nakaam
Per, yaaron ki mehfil to phir bhi jama lete hain

‘Sahil’, khwaab, saraab woh udti jawaani ki sharaab
Hum to aaj bhi unhin se dil ko nacha lete hain

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *