Aaya tha bazm e shauq men dil behlaane main apna

 

Aaya tha bazm e shauq men dil behlaane main apna
Dost mila na yaar koi woh mehfil thi ya tha koi sapna

Laga sab kuchh dekh kar rulana hi dil ko maqsad tha
Rotey dil ka har aansu jab qatra mera ban kar tapka

Jab justaju manzil ki hai phir milti nahin mujhe woh kyon
Kya manzilen bhi khwaab hain khud ko samjhaane aya tha

Riza khuda ki hi sab kuchh hai vaaiz danishmandi bhi
Sawaal jawaab ke silsilon men kuchh nayi rakha tha

Ab talaash hai us paar ki  hain reton per qadam mere
‘Sahil’, tamashayi musafir kab banega tu jaanta hai kya

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *