ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Nadaani gul ki dekhiye jo khaar sambhaaley baithe hai

Nadaani gul ki dekhiye jo khaar sambhaaley baithe hai
Manind e dervesh jo haath pe haath yunhi dharey baithe hai

Mausam hai bahaar ka kyon andaleeb ko lutf nahin
Tu hi bata ai Baaghbaan, woh gham kya khaaye baithe hai

Jaante hain hum ghar pahunch kar shai koi waisi hai nahin
Nihayat ba khoobi se jahan , begum sab sambhaley baithe hai

Aa kar tang mehfil ki woh shor o ghul se mehmaan ek
Dasht e tanhayi ka woh banda pareshaan parey baithe hai

Dil per us ke jaaney ‘sahil’ haalat kya guzarti hogi
Rukhsati ki aas shayad jo dil men lagaaye baithe hai

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *