Yeh masaail e yaqin

Yeh masaail e yaqin
Tera hona na hona
Teri justaju men ya Rab
Chhaan maara hai kona kona

Khuda basta hai dil men
Kyon koi jhaankta nahin
Ya iblees ka saaya ‘sahil’
Usey dekhne deta nahin

Munfarid hai woh Maula
Jis naam se bulao
Har su hai woh, har ja hai woh
Zamin se tum bhaley nazren uthao
Falak ko takte usey bulao.

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *