Khuda Kaun Hai

Khuda Kaun Hai

Hai justaju khuda ki mujhe
Us ki sada ki mujhe
Khuda kaun hai
Mila na kyon woh mujhe

Ma ko bulaya,Ma ko sataya
Ma ne hansaya, Ma ne sulaya,
Batao,
Khuda kaun hai

Ma ne paida kiya mujhe
Padhaaya us ne qaaeda mujhe
Sajde kiye us ke main ne
Khuda kaun hai

Gul, Ma ke chaman ka main
Parinda us ki aangan ka main
Hun us ka kul jahan zurur
Tan man main uska
Khuda kaun hai

Khuda
Mera yaqin, mera imaan hai
Meri dawa, mera darmaan hai
Usi ka saara yeh jahan hai
Aur Ma us ki awwal insan hai

Dekha khuda ko Ma men jis ne
Paaya khuda ko khuda ke jahan men
Milega woh ik roz sabhi ko, ‘sahil’
Bas saabir reh tu us ke jahan men

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *