Zaat e khuda men tazabbub kya hai
Zaat e khuda men tazabbub kya hai
Har mazhab ko Rab ki talab kya hai
Uth ta hai sawaal zahn men zurur
Gar insaniyat nahin to mazhab kya hai
Aaj dooriyan itni hain aapas men kyon
Is hirs o hawas ka sabab kya hai
Har roz hain mukhatib aayene ke sab
Wohi shakl dikhe to ghazab kya hai
Khud parast insan bhoola hai aaj kyon
Unsiyat aur shai musaahib kya hai
Aawaragi hai fitrat insan ki ‘sahil’
Zameer hi batlaaye aakhir vaajib kya hai
Tazabbub. Dilemma
Talab. Desire
Hirs o hawas. Greed. Desire
Mukhatib. Saamne
Musaahib. Comrade
Vaajib. Proper. Appropriate
Ashok sawhny ‘Sahil’