Har aah men dua shaamil hai
Har aah men dua shaamil hai
Kaho, maut ya hayaat kaun haamil hai
Ik nafas se doosre talak hai zeest
Kaunsi subh, kaunsi shaam, kaamil hai
Munafiq duniya, doghle log
Jaane, naqli kya aur kya asl hai
Ashk e soz e dil to shola hai, bas
Tufaan se batao kya haasil hai
Jahan sab, sab kuchh jaante hon
Bata vaaiz wahan kaun aaqil hai
Nukta cheeni marz hai ajab, zurur
Yaro, yeh samajhna mushkil kyon hai
Ro raha hai dil tera, tu kuchh to kar
‘Sahil’, varnz sada e dil kyon hai
Ashok sawhny ‘Sahil’