Story/Poetry

Surur to surur hai logo majaazi ho ya koi aur

Surur to surur hai logo majaazi ho ya koi aur
Khaanon men sab kuch kyon baant te hain hum

Insan ek hai, rang roop mukhtalif, deen o mazhab alag
Jis naam se chaho bulao rab ko, jhagra kya hai, humdum

Dil ke khaanon men lahu, is ke siwa kya, charahgar
Hum ne abas kyon baitha rakha hai rab, shaadmani aur gham

Shahenshah ho, koi kasa ba dast ya koi aala bashar
Ghulaam hain sab uske, jisey kehte hain sab apna dum

Jo la makaan hai usey aashiyaan kya dena, yaro
Jism faani rooh aasmaani dua sab se awwal marham

Jahan basta hai Rab rehne do, khayalon men basao usey
Wohin to hai sab khushi ‘sahil’ aur wohin sab ranj o alam

Majaazi. Worldly
Abas. Fuzul
Bashar. Aadmi
La makaan. Homeless. God in urdu

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *