Story/PoetryTRENDING NEWS

Ai sanam, jitni bhi kar lun main mahabat tum se

Ai sanam, jitni bhi kar lun main mahabat tum se
Ai dilbar, tum to usey mahz kum kum kahoge

Gar raah takte takte intezaar men tumhaari
Chashm sookh jaayen to kya palken num kahoge

Aise istehza karo ge to main kahin ro na padun
Behte aansuon ko phir tum kya shabnam kahoge

Ilm nahin hai mujhe sitamgari ki to koi
Kya tum tanz o tanqid ko ab marham kahoge

Batao, rula kar mujhe taar taar, tum ‘sahil’
Apni shireen aawaaz men kya ab jaanam kahoge

Mahz. Sirf
Istehza. To make fun of, sarcasm
Tanz o tanqid. Mock, Criticism.
Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *