Jaam pilao saqi phir labrez to ho
Ho waqt e namaaz phir parhez to ho
Jaam pilao saqi phir labrez to ho
Ho waqt e namaaz phir parhez to ho
Maanta hun main khaak hun humsafar mitti
Lekin, aaraam se baithao kursi mez to ho
Justaju kaisi jab dil men sukoon hai
Kya dhundte ho yaro, kuchh gurez to ho
Dua na salaam hai mahaul aaj aisa
Talkh zubaan beshak bolne ki tameez to ho
Bahot aati hain yaaden maghrabi mujhe
Log theek kehte hain ‘sahil’ tum angrez to ho
Labrez. Full to the brim
Gurez. That which is missing or escaped etc
Talkh. Bitter
Maghrabi. Western
Ashok sawhny ‘Sahil’