Story/Poetry

Aaraam se

Aaraam se

Kya shai hai aarram bataye koi, aaraam se
Aaraam ke khutbe samjhaye koi, aaraam se

Kal aftaab ka urooj mustaqbil hai bahot
Riza hui uski to dekh lunga, aaraam se

Taskeen ki baaten raahen bhi uski
Koi pehle jeene to de, aaraam se

Zeest, tu ne pur sukoon jeeney na diya
Ab marne to de ab, aaraam se

‘Sahil’, nahin hai khauf qaza se mujhe
Gar milaye woh maula se, aaraam se

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *