Vaaiz, posheedah kya aur kya zahoor hai
Chaand ka aks kya aur kya us ka noor hai

Vaaiz, posheedah kya aur kya zahoor hai
Chaand ka aks kya aur kya us ka noor hai

Akaasi hai jalaal shaikh, kamaal apna tu dikha
Dast e Rab ka aab o rang har shai men mastoor hai

Chhupa lo jo chaaho tum raaz dil men, dosto
Aankhon men israar to mukammal zahoor hai

Saqi, naam ghaur se dekh, sharaab nahin baada hai
Khanakte pyaalon men zabardast suroor hai

Rind per ilzaam magar saqi be qusoor kyon
Jab baada noshi har maikade ka dastoor hai

Na maange duaen to karey phir woh kya
Ya Rab, banda tera bhi to bahot majboor hai

Kyon nahin hai insan shukr guzaar, yaro
Jab paasbaan jahan ka, woh sab ka ghafoor hai

Na dikhega kabhi khuda kisi ko, ‘sahil’
Woh barq e tajalli aur saboot koh e toor hai

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *