Story/Poetry

Sukoot nahin sumundur ki be chaini dekhiye

Sukoot nahin sumundur ki be chaini dekhiye
Insan ko jaanana ho to un ki kami dekhiye

Num na hon to aankhen haseen na hon itni
Yaqin na ho to phir kabhi un ki nami dekhiye

Shaan o shaukat se hota hai paida ghurur
Neki dekhni ho to bande ki inkisaari dekhiye

Jis dil men basta hai khuda ana na hogi mazeed
Us momin ki iimandaari us ki khud daari dekhiye

Kya khuda parast hotey hain deewaane thode se
Dervesh ki bhi kabhi aap deewanagi dekhiye

Maare jo chahe ‘sahil’ pathhar tanz ke dunya
Saabir hun main har waqt, himmat meri dekhiye

Sukoot. Silence
Inkisaari. Humility
Ana. Ego
Mazeed. Zyada
Khuddaari. Self respect
Tanz. Satirical
Saabir. Patient

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *