Qulzum men har ja durr e nayaab nahin milta
Qulzum men har ja durr e nayaab nahin milta
Har paida honey waale ko khitaab nahin milta
Ijaradaari to nahin hoti sach pe kisi ki
Har sawaal ka hamesha sahi jawaab nahin milta
Intekhaab, zauq e nazar, samajh boojh ki baat hai sab
Veeraanon men har su to mehakta gulaab nahin milta
Mah o mehr se milna, shab o roz ka jeena, magar
Zindagi ka kisi ko to koi hisaab nahin milta
Maikash ki baat ho dervesh ki baat, to maanun, lekin
Sunte hain vaaiz, khuld men dil betaab nahin milta
‘Sahil’, marhun e minnat to baat jazbaat ki hai
Sood o ziyaan nahin, koi sawaab nahin milta
Ashok sawhny Sahil