Bhale jaan ho tum har mehfil ki
Bhale jaan ho tum har mehfil ki
Ret hi khamyaza hai ‘sahil’ ki
Kal kya hoga na hoga kaun jaane
Zulmat hi rahnuma hai mustaqbil ki
Shamsheer to mujrim nahin hua karti
Huzoor, niyat jaaniye nigah e qaatil ki
Ek hi jagah baste hain sach o jhoot donon
Zabaan hi miyaan hai baatil ki
Sang-dil to woh ho hi nahin sakta
Jo samjhata hai dhadkan apne dil ki
Aasaan kya aur kya muhaal, naaseh
Koi mushkilen bhi to jaane mushkil ki
Jee le hai tu ne umr tamaam, ‘sahil’
Ab fikr kyon tujhe kisi mustaqbil ki
Ashok sawhny Sahil