Ayaan hoti hai baat saari bahaane banane ke baad
Ayaan hoti hai baat saari bahaane banane ke baad
Dil samajhta hai silsilon ko unke guzar jaane ke baad
Zubaan pe etimaad kya phisalti dhalaanon pe kya
Mazboot hai kitna rishta jaano haath milaane ke baad
Kya vaasta nahin hai kisi ko kisi ki hayat se aaj
Kya sunegi sada dunya meri mere jaane ke baad
Jo kooch karey jahan se wo mukhatib nahin hota
Milna mumkin nahin hai marne maraane ke baad
Hoti hai naazuk woh kitni dor unsiyat ki dekhiye
Dukh dil ko hota hai usey mitti se milane ke baad
Khwabon men jeena mushkil hai, mushkil bahot ‘sahil’
Chain aata hai armanon ko unhen dafnanen ke baad
Ashok sawhny Sahil