ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Baat dushmani ki hoti to unhen kamzor kyon banata

Baat dushmani ki hoti to unhen kamzor kyon banata
Khawateen ko Khuda phir mardon se kyon milata

Zabardast hain yeh kaisi aaj rishton men daraaren
Shayad unsiyat ho jaati gar unsiyat Rab na banaata

Maazi bhale azaab ho, naam tifli ka to mahabat hai
Daana, bachpan ke jhooley men hai khud ko jhulata

Munsif sacha to wohi hai dil men jiske ho khauf e khuda
Faisle jo muqadamon ke khuley aam hai sunata

Adalat nahin hai zeest kyon mushkil hai yeh samajhna
‘Sahil’, aqlmand auron ki sun kar baat khud ko hai samjhata

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *