INDIALIFESTYLEStory/PoetryTRENDING NEWS

Har roz padho ek safa tum muqaddas Quran ka

Har roz padho ek safa tum muqaddas Quran ka
Lab pe naam Khuda ka ho aur ho Bhagwan ka
Phir padho tum ek safa paak Gita aur Anjeel ka
Munfarid hai maalik yaro bhale Guru ya God insan ka

Insan hi taqseem karey phir insan hi sab jorey
Adab se salaam karey pathhar se sar phorey
Pecheedah hai yeh banda yaro, uljha hua bashar
Aaj bhoola bhataka aawaara, yaad Rab ko na karey

Hirs o havas ka yeh ghulaam, haiwaan o shaitaan hai
Samajhte they jisey kabhi farishte bhi insan hai
Takabbur se bhara hua ab Ghurur hai is ka naam
Takta hoga arsh e bareen aur hairaan bhi aasmaan

Insan se kuchh na hoga ab nasha daulat ka hai
Hukumat us ki aisi jahan raaj vahshat ka hai
Be hiss o be ishfaaq bashar, zawaal hai mukammal
Payambar hi aaye koi, sawaal  Maula kaenaat ka hai

‘Sahil’, deta hai tu dars khuda ko, hai itni teri jurrat
Dars nahin hai yaro taubaah, isey ilteja jaaniye
Mujh jaise hain laakhon aur, behater mujhse dabeer
Isey meri chhoti si, haqeer aur be bas sada maaniye

Ashok sawhny sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *