Kaho yeh kis kaam ki raaegaan tasalli hai
Kaho yeh kis kaam ki raaegaan tasalli hai
Ke baarish nahin to chalo barq e tajalli hai
Nazar aate nahin uqaab falak men aaj kyon
Kya yeh kaafi hai ke ab baagh men ek titli hai
Yaro, gar zulmat e shab men kho jao to kaho
Kya chaand taaron ke muqabil koi vaisi bijli hai
Kya hua hai aaj amn o chain ko tu bata vaaiz
Kya jhagron men hi insan ko ab tasalli hai
Anjaam to anjaam hai, us se kaisi shikayat
Zindagi ka naaseh kya koi mutawalli hai
Muztar hain tere bande jahan me aaj, ya Rab
Ke kaakh o gulzaar nahin sirf ek jhumti kali hai
Haath jodna haath peetna aasaan hai magar
Dil na shamil ho to fuzul ki woh taali hai
Raah e khuda ki baabat maikash se jab puchha
Kaha us ne saqi se, kya koi aas paas ki gali hai
Shekhiyaan na maar ghar apne ki tu, ‘sahil’
Tere yaan sher hai to mere yaan ek billi hai
Ashok sawhny Sahil