Kuchh khushi aur jahan men kuchh ranj o alam hai
Kuchh khushi aur jahan men kuchh ranj o alam hai
Dhadkega dil jahan ka jab talak dum hai
Gila nahin hai tujh se ai chaaragar koi, per
Maan le tu bhi dost, dua hi awwal marham hai
Imdaad karo kisi ki to la mahdood nahin kabhi
Aakhir, hadd se zyada hamdardi bhi to sitam hai
Zindagi se badh kar saughaat aur kya milegi kisiko
Insan to na samjha kabhi khuda ka kya karam haij
But khaane men patharon ke bhagwan to hain zurur
Per, yeh bhi to samjho logo dil unka bhi narm hai
Kaho kab talak karega koi aitbaar kisi per
Har ik qadam per jhoot ka baazaar to aaj garam hai
Ya Rab, naam tera hi rahega labon per ‘sahil’ ke
Per bhoolti ja rahi hai dunya tujhe, yehi gham hai
Ashok sawhny ‘Sahil’