Zamane ki baaten zamana jaane
Zamane ki baaten zamana jaane
Mahabat kya hai dewaana jaane
Sitamgar ke baare jahan se puchho
Kya woh hai jo sabko sataana jaane
Mafhum samjhaye naam shafqat ka koi
Woh jo roothon ko pyar se manaana jaane
Kya sham’a kahoge usey tum batlao
Woh jo parvaane ko jalaana jaane
Baat nazariye ki hoti hai yaro, bas
Sham’a to raasta bhi deekhlana jaane
Vaiz, majaazi khuda tu kisey kahega
Woh jo hasti hamari mitaana jaane
Khush qismat hai kaun koi to batlao
Kya woh jo faakhta udaana jaane
‘Sahil, shayar kaun hai tu hi batla
Woh jo dil sab ke behlaana jaane
Phir yeh bhi bata humnawa hai kaun
Kya jo naghma bulbul ka sunana jaane
Ashok sawhny Sahil