Gham pi liye hain main ne ab ashk kya dikhlaun

Gham pi liye hain main ne ab ashk kya dikhlaun
Samjha liya hai dil ko ab tumhen kya samjhaun

Sabaat nahin hai kuchh bhi rab ke is jahan men
Khazaan ko ab ai bulbul main bahaar kaise banaun

Yaro, maqaam hai sab ka apna, hunar bhi so apna
Teri tarah main andaleeb naghma kahan se gaaun

Jab taabinda kiye huay hai suraj jahan kisi ka
Us raushni ko chheen kar subh apni kaise banaaun

Yaro, din ginte ho tum zindagi ke roz ba roz kyon
Ik din tha jo sadi barabar woh daastaan ab kya sunaun

Manjdhaar men hun ‘sahil’ chaaron taraf hai tufaan
Ab ehmiyat sahil ki main bol tujhe kya samjhaun

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *