Jawaab faqiron ka to la jawaab hota hai
Jawaab faqiron ka to la jawaab hota hai
Unke liye jeena to be hisaab hota hai
Ameer woh na sahi aurang be shak ho khaak ki
Dil men basta ho Rab to woh zaryaab hota hai
Baitha ho jo sahil per liye huay sukun
Sumundur phir na gehra na payaab hota hai
Auron ki izzat kijiye per khud ko na bhooliye
Khud daar insan to maanind e seemaab hota hai
Sambhaale jo khayal usey naaseh maaniye
Bakharey jo dil ko woh to azaab hota hai
Be daagh ho mahabat to salamat rahey woh
Daaman pe lagey daaghon ka hisaab hota hai
‘Sahil’, firasat ki zururat har ja to nahin padti
Harf e rindaana khumgaah men baaryaab hota hai
Ashok sawhny ‘Sahil’