Story/Poetry

Sui na dhaaga insan ki aaj ghaflat dekhiye

Sui na dhaaga insan ki aaj ghaflat dekhiye
Taar taar hai chaadar e insaniyat dekhiye
>

Jalwagah na maikada baat hai intekhaab ki
Chalta hai jo rah e khuda per us ki hikmat dekhiye

Mausam diye jis ne chaar phir paani ko naam hazaar
Shabnam, aansu, aab, ashk, us rab ki barkat dekhiye

Insan bhoola bisra hai ek chyunti de sabaq miley
Mustaqil mizaaj uska, aala mushaqqat dekhiye

Zamin se usey pyaar hai shauq nahin parwaaz ka
Safar ho jis ka tinkon ka us ki mehnat dekhiye
>

Dil pighalte dekhiye sang dil ko bante mom
Kabhi kor chashm ke liye dast e shafqat dekhiye

Na dekha rab ko ‘sahil’ us ne, ibadat momin ki dekh

Na mila shajar ka saaya jisey us ki himmat dekhiye

Ghaflat. Negligence
Taar taar. In shreds
Intekhaab. Selection
Hikmat. Wisdom
Mustaqil mizaaj. Firm stable committed
Parwaaz. Flight
Kor chashm blind
Dast e shafqat. The hand that consoles comforts supports
Shajar. Tree

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *