ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Hai yeh darham bharam ki dunya

Hai yeh darham bharam ki dunya
Taskeen nahin, alam ki dunya

Ansu nahin to darya sookhe
Sabki nahin, tum aur hum ki dunya

Aab nahin lahu ka darya
Karam nahin sitam ki dunya

Khush umeedi ki baaten saari
Lekin, har ja pur vahm ki dunya

Murjhaye gulon ki dunya saari
Baghbaan o num chashm ki dunya

Be naqaab chehre munafiq log
Kahan hai aaj woh sharm ki dunya

Nazaare rangeen mustaqbil ke
Dolti aakhiri dum ki dunya

Farzi baaten kufr ki dunya
Nahin yeh lauh e qalam ki dunya

‘Sahil’, vaaiz to Rab se puchhega na
Kahan hai us ki rahm ki dunya

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *