ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Fayeda nuqsaan to mahz anjaam hai

Fayeda nuqsaan to mahz anjaam hai
Khoon paseeney ka naam kaam hai

Galey milna na jaano to jaanogey kya
Kya hota hai milna kya inzimaam hai

Hayaat do manzila makaan hai huzur
Asl zamin per baaqi sab sar e baam hai

Insan ban kar rehna insaniyat ko apnana
Kaho is se bartar kaunsa kya maqaam hai

Har baat ka jawab to vaiz pe nahin hota
Rab hi jaane kis shai ka naam dawaam hai

Ai zeest kya qaza ki tu ghulaam hai, ya
Woh tera anjaam aur khuda ka paigham hai

‘Sahil’, jab riza khuda ki aur hukm sab uska hai
Phir main kya jaanun kya gardish e ayyam hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *