ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Sahil’ aaj faasle hain kaise dilon ke darmiyaan

Sahil’ aaj faasle hain kaise dilon ke darmiyaan
Rona mushkil nahin hai na hansna hai aasaan

Kh-moshi aisi baatin men jaane raaz hain kya
Ya mit chuke hain insan ke saare ab armaan

Kya lafz e dastoor ab door hai lughat se bahot door
Mehman navazi bhula hai kyon aaj ka yeh mezbaan

Rang badle apne kab aur kaun yeh na jaane koi
Nazar aata hai naseh hamen ab siyaah sa aasmaan

Khudaya, dekh insan tera haiwaan bana hai aaj
Ab lega tu hamarey kitne bol aur imtehaan
Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *