Aaj chalti nahin hai dunya kyon ik jazba e pyaar se
Aaj chalti nahin hai dunya kyon ik jazba e pyaar se
Kya pucchte ho raah e wafa tum dil e daaghdaar se
Deewaanon ke jahan men seekhi khirad hum ne sab se
Chalo mafhoom e zeest samjhen ab kisi hoshyaar se
Ilm nahin talab nahin talabgaar nahin hun, chalo
Kharid o farokht ka kaarobaar seekhen aaj bazaar se
Naaseh, mili saza gunah ki gar mujhe munsif se yahan
Phir, roz e mahshar hisaab kya hoga kaho gunahgaar se
Door hai kitni ab hayaat qaza se meri jaane kaun
Puchhna hai to pucch le ‘sahil’ tu waqt ki talwaar se
Ashok sawhny Sahil