Jab karta hai tu bande Rab ko sajde paak
Jab karta hai tu bande Rab ko sajde paak
Tab milaya kar mitti se tu apni chadhti naak
Zururi hai samjhaani yeh khud ko baat yaro
Ke Rab ke jahan men kuch nahin hai napaak
Tarbiyat men kotahi maahaul men kami hai
Jahan sasti hai jaan aur mehngi bahot khaak
Sab jaante hain yeh baat ittefaaq ki nahin hai
Ke ghuncha banta hai gul aur us ke baad khaak
Daur e hayaat ka yeh dastoor hai anjaam jaaniye
‘Sahil’, kar le tu isey tasleem kar le tu idraak
Ashok sawhny Sahil